Mujhe aaj bhi yaad aati hai; Jab bhi maa mujhe bulati hai; Uski aawaaz mujhko lekar jati hai; Aur bachpan key din ki yaad dilaati hai
Kya mukt hawa ki tareh hum jaatey; School ground mein plane udaatey; Zindagi ujjwal jaise darpan; Aisa anmol hi tha apna bachpan
Phir teacher ki daant khakey hum ; darey dubkey sehmey sey hum; chupchaap apni class mein jaate; aur kuch der mein sab bhool jaatey
phir ghar jaldi pahunchney ki lagti hod; ruktey nahin kisi gali kisi mod; sirf bhaagtey bhaagtey ghar ko jaatey; Aur is meethi jeet ka jashn manaatey
Itna nirmal aur anupam ; Aisa anmol hi tha apna bachpan ;Woh jangli phoolon ki phulwaari;
mano dekh hamko phir muskurayee
Aur phir bhag bhag kar bhusidar pakadna; mano dharti ka safaltam karya karna; Aur gandey naale mein bhi dhoondhtey they akarshan; Aisa Anmol hi tha apna Bachpan
pavitr nirdoshta aaj bhi woh; kahin shayad chipi ho; Par aaj kuch haasil karke bhi; man tript nahin santusht nahin
Maano umar key umdey saagar mein; dab gayi kuch komal koplein; Aur naam kamaney ki is jang meinkahin; Sab dhunndhlaa gaya ab aur nahin
Aur laga sochne phir udaaseen man ;Kya yun anmol tha apna Bachpan ????
7 comments:
bachpan, remembered in a very cute manner.a bit sentimental but wonderfully expressed.made me also recal my days
thanx whoeever you are....
good very good
u rock!!!!!!!!!!
thx yaar
It's very good...
chalo thx ....
Hey I'd like to congratulate you for such a great made site!
Was thinking this is a nice way to make my first post!
Sincerely,
Monte Phil
if you're ever bored check out my site!
[url=http://www.partyopedia.com/articles/hawaiian-party-supplies.html]hawaiian Party Supplies[/url].
Post a Comment